Assalam u Alaikum
jo rishtey dil sey jurtey hein
inhein tora nahi kartey
kisi ka saat Raastey mein
kabhi chora nahi kartey
kahein is sey tumharey haat
zakhmi na hu jayein
jo totey ayina
tu phir isey jora nahi kartey
koi tufann teri kishti ko
gharq-e-aab na kardey
kabhi biphri hui mujon ka
Rukh mura nahi kartey
tijarat k usoloon per
muhabbat ki nahi jati
muhabbat mein kabhi
jazbaat ka suda nahi kartey
sitam karna muhabbat per
hey adat zamaney ki
zamaney k sitam per
hum yeh dil tora nahi kartey
muhabbat k usoloon mein
yehi pehla usool apna
k hum apni muhabbat ko
kabhi Ruswa nahi kartey
Jis sey muhabbat kartey hein
us sey jhut bola nahi kartey
muhabbat mein kabi
khayanat kiya nahi kartey
No comments:
Post a Comment