TuM AoO tU sAhI........
tum ko ham dil men basaa lenge tum aao to sahii
saarii duniyaa se chhupaa lenge tum aao to sahii
ek vaadaa karo ab ham se na bicharo ge kabhii
naaz ham saare uThaa lenge tum aao to sahii
bevafaa bhii ho sitamagar bhii jafaa_peshaa bhii
ham Khudaa tum ko banaa lenge tum aao to sahii
yuuN to jis simt nazar uThatii hai taariikii hai
pyaar ke diip jalaa lenge tum aao to sahii
iKhtalaafaat bhii miT jayen gay raftaa raftaa
jis tarah hogaa nibhaa lenge tum aao to sahii
dil kii viiraanii se ghabaraake na muuNh ko moro
bazm ye phir se sajaa lenge tum aao to sahii
raah taariik hai aur duur hai manzil lekin
dard kii shama jalaa lenge tum aao to sahii
No comments:
Post a Comment